Dosti Sad Shayari

Best 230+ Dosti Sad Shayari (Friendship Poetry)

A unique place in our souls has been designated for dosti, or friendship. Even most important friendships, yet, may experience a sense of sadness. These emotions are conveyed in sad shayari regarding dosti, which reflects pain that comes from misunderstandings, separation, or relationships that dissolve. 

The pain of a friend’s disappearance or the bitterness of deception resonate in these shayari. They go back on sad thoughts of moments in which smiling used to be uncontrolled. It is easy to feel the sorrowful energy of relationships that has developed from words like “Our friendship’s memory decreases, lost in time’s timeless grip” to others. 

These shayari convey faith along with grief. They discuss ways to repair walls, building connections together once again, and embracing the time that is gone. They act like an indicator that the vitality of a relationship keeps beyond suffering and can be an injection of comfort throughout difficulties in life.

Dosti sad shayari in Hindi gives respect to the complicated connections between companions, where joy as well as sorrow mix and profoundly portray the bond between people. If you want Happy Poetry in Urdu then click here.

Dosti Sad Shayari

Dosti Bhi Kabhi Rahi Ho Gi
Dushmai Be Sabab Nahi Hoti

Shirtain Lgayi Jati Nahi Dosti Ke Sath
Kijiye Mujhe Qabol Meri Har Kami Ke Sath

Dil Se Khayal-e Dost Bhulaya Na Jaye Ga
Sene Mein Dagh Hai Ke Mitaya Na Jaye Ga

Ab Ye Tay Hoa Ka Aaj Phir Mulaqat Krain Gey
Barso Ki Dosti Par Phir Se Baat Krain Gey

Jarain Gey Taluqat Se Yun Faslon Ki Dhol
Baaton Mai Mehv Ho Ke Subah Se Raat Krain Gey

Wo Waqt Bi Pul Sirat Tha Jo Guzra Tere Baghair
Ab Roshnion Aur Tajlion Ki Barsat Krain Gey

Jo Waswso Ki Barishain Thi Ab Wo Tham Gyi
Aetmad Ki Faza Mai Ab Har Baat Krain Gey

Rwajon Ke Gunjlon Mein Ulja Ho Tha Mein
Sulja Ke Sab Kuch Khushion Ko Soghat Krain Gey

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibahne Wala
Wohi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala

Is Se Pehle Keh BeWafa Ho Jayen
Kyun Na Ae Dost Ham Juda Ho Jayen

Tum Bi Kia Yaad Karo Gay Koi Dost Hoa Karta Tha
Itna Chahne Wal Hmain Koi Dost Hoa Karta Tha

Kitne Haseen Din Thay Kitni Haseen Ratain Thi
Muje Hansane Wala Koi Dost Hoa Karta Tha

Har Pal Sath Dena Mera Har Gham Ko Bantna
Har Dukh Samajne Wala Koi Dost Hoa Karta Tha

Jab Rotho Gi Tu Koi Na Mnaye Ga Tu Socho Gi
Muje Mnane Wala Koi Dost Hoa Karta Tha

Wo Yaad Tu Kia Kary Gi Aksar Aalm-e Tanhai Main Tahir
Muje Tang Karne Wala Koi Dost Hoa Karta Tha

Yun Log Dost Tera Muj Se Khafa Ho Jana
Jis Tarah Phol Se Khushbu Ka Juda Ho Jana

Kab Bhulaye Jate Hai Dost Juda Ho Kar Bi Wasi
Dil Tot Tu Jata Hai Rehta Phir Bi Sene Mai Hai

Dushmano Ke Sath Mere Dost Bhi Azad Hain
Dekhna Hai Khenchta Hai Muj Pe Pehla Teer Kon

Mein Hairan Hun Keh Kyun Us Se Hoyi Thi Dosti Apni
Muje Kese Gawara Ho Gyi Thi Dushmani Apni

Dushmano Ne Jo Duhmani Ki Hai
Doston Ne Bhi Kya Kami Ki Hai

Ankhon main malaal hai Aey dost
Mujko tera khial hai aey dost

Zindagi bewafa hi sehi
Pyar to lazwaal hai aey dost

Hijraton k azaab mosam main
Tumse milna mohaal hai Aey dost

Raat din tuj hi ko main sochta hon
Ab to ye haal hai aey dost

Maal o Dolat k hasool ki khatir
Har soo qatal o qataal hai aey dost

Lakh bura tujko kahe ye dunya
Mgr to be misaal hai aey dost

Ye din yuhin guzar jaen ge ,
Shayad hum dost yuhin bichar jaen ge,
Naraz mat hona hmari shararton se,
Yehi wo pal hai jo aksar yaad ayen ge

Tamam tazkiro main azeem tazkirah hai dost ka
Maano to sabse aala or nirala safar hai dost ka

Dosti me har sakhsee pahlu ka zikra kar lete hai log
Itemade itna hai ki dil se qadar karte hai dost ka

Kabhi tabit karke lagta hai zamane me kuchh talaf kiya
Milne ke baad utna hi fikr maloom hota hai dost ka

Kisi ke dosti ka tazkirah jab bhi dekhta hu main
Guzastah zamane ka manjar nazar ata hai dost ka

Tumne to dosti ka har farz kamil ki hai Azhar
Is hayat-e safar me hamesha mutaffir ho dost ka

Hum to dosti k liye tyar the
Magar who badnaseeb hume apna dost bna na paya

Hum se dosti itni mushkil na thi
Magar wo gafail humare asool apna na paya

Use to humare qadar a he gaye
Magar who hume phir dhoond na paya

Dosti Sad Shayari

हाय! इज़हार करके पछताए
उसको इक दोस्त की ज़रूरत थी

दाग़ दुनिया ने दिए ज़ख़्म ज़माने से मिले
हम को तोहफ़े ये तुम्हें दोस्त बनाने से मिले

इज़हार-ए-इश्क़ उस से न करना था ‘शेफ़्ता’
ये क्या किया कि दोस्त को दुश्मन बना दिया

अपने मे’यार से नीचे तो मैं आने से रहा
शेर भूखा हूँ मगर घास तो खाने से रहा

हम दो बंदे हैं और सिगरेट एक
अब ख़बर होगी दोस्ती की दोस्त

रुख़्सार का दे शर्त नहीं बोसा-ए-लब से
जो जी में तिरे आए सो दे यार मगर दे

जब यार ने उठा कर ज़ुल्फ़ों के बाल बाँधे
तब मैं ने अपने दिल में लाखों ख़याल बाँधे

दुश्मनी कर मगर उसूल के साथ
मुझ पर इतनी सी मेहरबानी हो

मेरे मे’यार का तक़ाज़ा है
मेरा दुश्मन भी ख़ानदानी हो

एक सीता की रिफ़ाक़त है तो सब कुछ पास है
ज़िंदगी कहते हैं जिस को राम का बन-बास है

यार उसके क़ीमती तोहफ़े तो लाए थे बहुत
मैं बरेली का था मैंने ला के झुमका दे दिया

ये न थी हमारी क़िस्मत कि विसाल-ए-यार होता
अगर और जीते रहते यही इंतिज़ार होता

कोई भी रोक न पाता, गुज़र गया होता
मेरा नसीब-ए-मोहब्बत सँवर गया होता

न आईं होती जो बेग़म मेरी अयादत को
मैं अस्पताल की नर्सों पर मर गया होता

मुझे भी अपनी क़िस्मत पर हमेशा नाज़ रहता है
सुना है ख़्वाहिशें उनकी भी शर्मिंदा नहीं रहती

सुना है वो भी अब तक खाए बैठी हैं कई शौहर
बहुत दिन तक मेरी भी बीवियाँ ज़िंदा नहीं रहती

खद्दर पहन के बेच रहा था शराब वो
देखा मुझे तो हाथ में झंडा उठा लिया

मैं भी कोई गँवार सिपाही न था जनाब
मैंने भी जाम फेंक के डंडा उठा लिया

उतरी हुई नदी को समंदर कहेगा कौन
सत्तर अगर हैं आप बहत्तर कहेगा कौन

पपलू से उनकी बीवी ने कल रात कह दिया
मैं देखती हूँ आपको शौहर कहेगा कौन

ये इश्क़-विश्क़ का क़िस्सा तमाम हो जाए
सफ़ेद दाढ़ी हवस की गुलाम हो जाए

जवान लड़कियों बूढ़ों से तुम रहो हुश्यार
न जाने कौन कहाँ आसाराम हो जाए

  • Ye jo dosti ka rishta hota hai, bahut ajeeb hota hai. Pata nahi kyun wo ghar waalon se bhi zyada kareeb hota hai.

  • Dost bas dost nahi hai mere, duniya hai meri.

  • Mujhe apne doston ki sirf dosti nahi, unki dushmani bhi chahiye.

  • Dost zindagi ke har pareshani ko samjhate hai, Isiliye main dost ko mahboob se upar maanta hoon.

  • Meri duniya ka hero to mere dost hai.

  • Dost ke bagair ghar hi nahi, puri duniya hi suni lagti hai.

  • Dost ke sath kal ki fikr nahi hoti hai.

  • Agar koi apne dost ko bhula sakta hai, To is duniya me khuch bhi bula sakta hai.

  • Koi tumhari zindagi banata hai, Koi tumhari zindagi bigadta hai, Jo dono karta hai, wo hota hai Dost.

  • Mere aksar naye dost ban jaate hai, Jab unhe mujh se kaam hota hai.

  • Apni zindagi ko apna dost bana liya, Kya kamal ka maine ye faisla liya.

  • Jiske sath pahle mulakat achhi nahi hoti, Unke sath dosti kamal ki hoti hai.

  • Dosti wo hai, Jo zindagi ko aur mazedaar banati hai.

  • Dost rishtedaar nahi hote, Unse badh ke hote hai.

  • Bahut khaas hai mere dost, shayad isiliye jitne the ab tak hai.

  • Jinke zindagi me dost nahi hai, wo khali nahi khokhli hai.

  • Dosti ke alawa zindagi ne aur kuch sikhaya nahi, Isiliye apne aap se karta hoon.

  • Hum har hade paar kar sakte hai, Par dosti ki lakiren nahi.

  • Main sabse pahle apne aap ka dost banana chahta hoon, phir kisi aur ka.

Waqt ki yaari to Har koi karta hai mere dost
Maja to tab hai Jab waqt badal jaye Par yaar na badle

Doori Ho To ahsaas hota hai,
Dost ke bina jivan kitna udas hota hai
Umar ho apki Sitaron jitani lambi,
Aisa dost kahan kisi ke pass hota hai

Sabne kaha Dosti ek Dard hai
Humne kaha Dard kabool hai
Subne kaha is Dard ke saath Jee na Paogay
Humne kaha teri Dosti ki saath Marna kabool hai

Ae dost main tujhe bhool jaau,
Ye teri bhool hai,
Teri kya taarif karu
Tu ek mehakta hua phool hai.

Jinki Dosti Sachi Hai Wo Kab Fariyad Karte Hai?
Zubaan Khamosh Hoti Hai Magar Dilse Yaad Karti Hai

Muskurana hi Khushi nahi hoti,
Umar bitana hi Zindagi nahi hoti,
Khud se bhi zyada khayal rakhna padta hai dosto ka,
Kyoki Dost kehna hi Dosti nahi hoti.

Mein bhula nahi hu kisi ko
Mere bahut aache DOST hai jamane me
Bas thodi zindgi ulajhi padi hai
Doo waqt ki roti kamane me

Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyari Hai
Jawab Hi Nahi Hamara Kahi Badi Khub Jodi Hamari Hai

Dosti Se Qeemti Koi Jageer Nahi,
Dosti Se Khubsoorat Koi Tasveer Nahi,
Dosti To sirf Ek Kaccha Dhaga Hai,
Dhage Se Majboot Koi Janjeer Nahi.

Waqt guzrega hum bikhar jayenge
Kaun jane hum kidhar jayenge
Hum dosti ki parchayi hai
Jahan aap hue tanha wahi hum nazar ayenge

Dosti naam h sukh dukh ki kahani ka
Dosti raaz h sada muskurane ka
Ye koi pal bhar ki pehchaan nhi
Ye wada hai umar bhar sath nibhane ka

Kehte h khuda ne is jaha me sabhi ke lie kisi na kisi ko he bnaya
hr kisi k lye tra milna h us rb ka isara mano mjko bnaya tre jese hi kisi k lye

Barish ki tarah TUJH pe Barasti rahen KhUshiyan
Har Boond TERE Dil se har ek Gham ko mita de

Door Ho Jayun To Zara Intezar Karna
Apne Dil Ko Na Yun Bekarar Karna
Laut Kar Aayenge Hum Jahan Bhi Jayenge
Bas Humari Dosti Per Aitbar Karna

Nazar andaz kaise kare aapko,
nazron me bithaya hai jo aapko,
yaad aane par roye bhi to kaise,
darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *